Main darkth, gawah hoo us baali ka
jo giri thi Malti ke kaano se
jab Akber ne pyaar se
uski latt ko kheecha tha
Woh baali padi rahi wahi
meri chaav me raat tak
phir jab savere morning walk wale aaye to
maine dhak di uss bali ko
apne kuch sukhe paton se
woh malti ki amanat thi use lautani thi
Phir jab safai wale aaye to
patte to saaf ho gaye aur
sarka di uss bali ko mere aur kareeb
Ab mai muhafiz tha us bali ka
aur yeh meri zimmedari thi
Jab dopahar ko Malti
dhunde ne aayi apni bali
to maine hawa se hata di
us par padi mitti ko
par Malti dekh nahi payee
shayad uski aankhe aansu se bhari thi
aur uski nigahe sirf yaadein
samet ne aayi thi bali nahi
Woh bali waise hi padi
rahi mere jado mai
kuch din phir kuch hafte
ek bandar se maine kahlwakar
us bali ko zameen se utha kar
meri ek shaakh ke kone mai rakhwadi
Kuch mahino baad
phir aaye Malti
mai khush tha ki lauta doonga
use apni amanat
par woh akber ke saath nahi
kissi aur ke saath thi
sindoor aur mangalsutra pehne
woh nahi ayyi mere kareeb
bas kissi aur ka haath pakde
door se hi takti rahi mujhe
shayaad woh yaadein
use bhoolani thiā¦
Phir usi shaam akber aaya
woh aakar theek usi jagah baith gaya
jaha woh malti ke saath baithta tha
udaas tha, akela tha
meri jado ko pakade shayad ro raha tha
mai ek hi to gawah tha unki mohabbat ka
Phir woh shaakh hilayee maine
aur woh baali giri Akber ke kaandho par
usne uthayi woh bali aur chum ne laga
zor zor se rone laga
phir upar meri taraf dekh kar
rote hue kaha
bas yeh ek hi nishaani hai
mere paas Malti ki
Aur bas tum ek hi gawah ho
meri mohabbat ke..!!